Pages

Monday, March 8, 2010

is india going to become a super power

kya bharat aane wale 20-30 saalon me super power ban paayega.
yeh sawaal har bharatiya k jehan me kaundhta hoga.
aakhir yeh super power hota kya hai.
ek aisa desh jiska antarrashtriya star par ek wajood ho.
antarrashtriya star par hone wali sabhi kriyao me uska prabhav ho.
dwitiya vishwa yuddh k bad pehli baar usa,soviet union,britain pehli baar super power ban kar ubhre.
jis tarah se bharat tarakki kar raha hai us tarah se to lagta hai ki bharat ek din zarur super power ban kar ubhrega.
tarakki hone ke baavzood b kuchh aise kaaran hein jo bharat ko is mukaam tak pahunche se roke hue heun.
1-garib aur garib,ameer aur ameer hota ja rha hai.
2-raajneeti vyavsay ka roop dharan kar chuki hai.
3-roti,chaval,daal jo ki aam aadmi ki mool zaruraten hein un par b raajneeti ho rahi hai.
4-aatankvaad aur naksalwad.
5-apni mool sabhyta ko bhulkar aakhen moond kar pashchimi sanskriti ko grahan karna.
6-bharatiya media mool muddon se hatkar sirf TRP k liye kaam kar rahi hai.
7-media par sensationalism buri tarah chhaya hua hai.
8-neta raja ki tarah bhog vilasi ho gaye hein unhe vikas se jyada shashan ki chinta hai.
9-raajneeti me jaativaad.
10-bharatiya videsh neeti,bharatiya arthvyavastha ameraca k bharose chalti hai.



kya in sab tathyon ko dekh kar lagta hai ki bharat ek super power ban paayega.
agar humen super power ban na hai to in sab maha mariyon se mukti pani hogi.

mahila aarakshan

kya hai yeh mahila aarakshan.
sarkar aaj international women's day par mahila aarakshan bill rajya sabha me layi.
vipakshi dal bjp ne b iska samarthan kiya.
aakhir yeh mahila aarakshan hai kya?
upa sarkar ne 33% mahila aarakshan dena chaha.
kya is aarakshan se mahilaon ka vikasho paayega.
mein aapko kuchh naam dikhana chahta hu.
pratibha devi singh patil
meera kumar
sonia gandhi
indira gandhi
mayavati
vrinda karat
sushma swaraj
kiran bedi
kalpana chawala
sheila dixit
mamta benerjee
aise bahut sare naam hein jo kisi b aarakshan k sahare yahan tak nahi pahunche.
to kya yeh aarakshan ki bheekh dena zaruri hai.
is se aap swayan hi mahilayon ko baant rahe hein.
agar aap chahte hi hein ki mahilayen sansad aur vidhan sabhao me aayen to aap unhe ticket de chunav ladhne k liye,yeh aarakshan ki vaishakhi kyu de rahe hein.

mahila aarakshan